ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi samundaron ke khad-o-khal ko badalti rahi kisi ke qadmon se raste lipat ke roya kiye kisi ki maut pe khud maut hath malti rahi use kinare ka kankar samajh ke panw na rakh ye aarzu mere dil ke sadaf mein palti rahi ghurur-e-tishna-dahani teri baqa ki qasam nadi hamare labon ki taraf uchhalti rahi jami thi barf rawayyon ki surkh aankhon par darun-e-jism koi aag thi machalti rahi tamash-gah-e-zamana mein zindagi apni sambhal ke girti rahi gir ke phir sambhalti rahi ye kaun aaina-paikar yahan se guzra hai ki jis ki gard-e-safar par nazar phisalti rahi