barish khushbu rang hawa hain main aur tu khwabon ka be-nam sira hain main aur tu apna ghar hai sat suron ke aangan mein giton ki aazad faza hain main aur tu mannat ki ek dori hain pipal se bandhi jal mein bahta ek diya hain main aur tu jis ne janm diya hai har afsane ko bhuli-bisri koi katha hain main aur tu ek nawela lafz hazaron lafzon mein rangon mein ek rang naya hain main aur tu