har makan aabaad tha yan har makin dil-shad tha

har makan aabaad tha yan har makin dil-shad tha
is nagar ka nam yaro pahle faizabad tha

kya bala tha wo musawwir jis ki har taswir mein
bulbulen aazad thin aur qaid mein sayyaad tha

hazrat-e-adam ne bhi jaana gunahon ke tufail
ye jahan barbaad hai ki wo jahan barbaad tha

marne wale ko miyan pahli mohabbat ki tarah
nursery school ka pahla sabaq bhi yaad tha

ishq-zadon mein protocol ka jhagda nahin
qais jis jangal mein tha aakhir wahin farhad tha

jis ko diction kah rahe hain muftiyan-e-rekhta
ye naya lahja gharib-e-shahr ki ijad tha

mahfil-e-sher-o-sukhan mein kal ki shab 'hashim' raza
kya kahun mere alawa har koi ustad tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close