barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha ye bhi tilism-e-gardish-e-lail-o-nahaar tha kahte hain log auj pe tha mausam-e-bahaar dil kah raha hai arbada-e-zulf-e-yar tha ab to visal-e-yar se behtar hai yaad-e-yar main bhi kabhi fareb-e-nazar ka shikar tha tu meri zindagi se bhi katra ke chal diya tujh ko to meri maut pe bhi ikhtiyar tha o gane wale tutte taron ke saz par main bhi shahid-e-tul-e-shab-e-intizar tha palken uthin jhapak ke girin phir na uth sakin ye e'tibar hai to kahan e'tibar tha yazdan se bhi ulajh hi pada tha tera 'nadim' yani azal se dil mein yahi khalfashaar tha