rahti hai sab ke pas tanhai phir bhi hai kyun udas tanhai dil nahin lagta phir kahin us ka aa gai jis ko ras tanhai ishq ne phenka tha pahan ke use pahne hai jo libas-e-tanhai sath sab ka diya hai ab lekin khud hai kitni udas tanhai zindagi-bhar ke sathi hain mere jam saqi gilas tanhai kaun jaane hua hai kya 'indra' rahti hai kyun udas tanhai