barish mein ahd tod ke gar mai-kashi hui tauba mari phiregi kahan bhigti hui pesh aae lakh ranj agar ek khushi hui parwardigar ye bhi koi zindagi hui achchha to donon waqt mile kosiye huzur phir bhi mariz-e-gham ki agar zindagi hui ai andalib apne nasheman ki khair mang bijli gai hai su-e-chaman dekhti hui dekho charagh-e-qabr use kya jawab de aaegi sham-e-hijr mujhe puchhti hui qasid unhin ko ja ke diya tha hamara khat wo mil gae the un se koi baat bhi hui? jab tak ki teri bazm mein chalta rahega jam saqi rahegi gardish-e-dauran ruki hui mana ki un se raat ka wada hai ai 'qamar' kaise wo aa sakenge agar chandni hui