mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua meri aankh kaise chhalak gai mujhe ranj hai ye bura hua meri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahin abhi raushni abhi tirgi na jala hua na bujha hua mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi pukhta-kar-e-jafa mila na kisi ki zarb ghalat padi na kisi ka tir khata hua mujhe aap kyun na samajh sake ye khud apne dil hi se puchhiye meri dastan-e-hayat ka to waraq waraq hai khula hua jo nazar bacha ke guzar gae mere samne se abhi abhi ye mere hi shahr ke log the mere ghar se ghar hai mila hua hamein is ka koi bhi haq nahin ki sharik-e-bazm-e-khulus hon na hamare pas naqab hai na kuchh aastin mein chhupa hua mujhe ek gali mein pada hua kisi bad-nasib ka khat mila kahin khun-e-dil se likha hua kahin aansuon se mita hua mujhe ham-safar bhi mila koi to shikasta-haal meri tarah kai manzilon ka thaka hua kahin raston mein luta hua hamein apne ghar se chale hue sar-e-rah umr guzar gai koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua