barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal kuchh nihayat hi nahin teri darakhshani ki mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka khayal aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa tu ne di ho jise khidmat namak-afshani ki mushkilon se jo muqabil hui himmat meri qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat khinch gai shakl meri sokhta-samani ki rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat' kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki