badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun ab tujhe ai sitam-e-yar kahan se laun pursish-e-haal pe hai khatir-e-jaanan mail jurat-e-koshish-e-izhaar kahan se laun hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun nur anqa hai shab-e-hijr ki tariki mein jalwa-e-subh ke aasar kahan se laun sohbat-e-ahl-e-safa khub hai mana lekin raunaq-e-khana-e-khummar kahan se laun sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat' 'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun