barpa hain ajab shorishen jazbaat ke pichhe be-tab hai dil shauq-e-mulaqat ke pichhe jin ko na samajh pae hum arbab-e-nazar bhi sau raaz hain us shokh ki har baat ke pichhe is thos haqiqat se tarruz nahin mumkin ek subh-e-tajalli hai har ek raat ke pichhe arbab-e-watan hum ko zara ye to bataen kin zehnon ki sazish hai fasadat ke pichhe manzar hai lahu-rang sulagti hain fazaen shoalon ka wo sailab hai barsat ke pichhe hum un ko samajhte hain 'hazin' kah nahin sakte asbab jo hain talkhi-e-haalat ke pichhe