hazaron gham hain lekin bar-e-gham dil par na rakkhunga ye nazuk aabgina us pe main patthar na rakkhunga wo mausam wo faza wo saaten tere bichhadne ki main apne zehn mein mazi ke pas-manzar na rakkhunga koi maskan na hoga ab meri be-khwab raaton ka main apne dushmanon ke beach apna ghar na rakkhunga chalunga sath apne karwan-e-sarkhushi le kar jilau mein ab gham-e-andoh ka lashkar na rakkhunga mera kya hai mujhe kanton pe so lene ki aadat hai masaf-e-zindagi mein baalish-o-bistar na rakkhunga bahut mohtat rahne par bhi akasr bhig jata hai main koshish lakh karta hun ki daman tar na rakkhunga baja hai ai 'hazin' mujrim hun na-karda gunahi ka magar ilzam jine ka main apne sar na rakkhunga