barpa tere visal ka tufan ho chuka dil mein jo bagh tha wo bayaban ho chuka paida wajud mein har ek imkan ho chuka aur main bhi soch soch ke hairan ho chuka pahle khayal sab ka tha ab apni fikr hai daman kahan raha jo gareban ho chuka tum hi ne to ye dard diya hai janab-e-man tum se hamare dard ka darman ho chuka jo jashn-washn hai wo hisar-e-hawas mein hai ye aarzu ka shahr to viran ho chuka auron se puchhiye to haqiqat pata chale tanhai mein to zat ka irfan ho chuka ek shahryar shahr-e-hawas ko bhi chahiye aur main bhi aashiqi se pareshan ho chuka kitne maze ki baat hai aati nahin hai id haalanki khatm arsa-e-ramazan ho chuka mausam khizan ka ras kab aaya hamein 'shujaa' jab aamad-e-bahaar ka elan ho chuka