nigahon mein iqrar sare hue hain hum un ke hue wo hamare hue hain jin aaankhon mein aansu chakare hue hain hum un ki nigahon ke mare hue hain na khatken kaho kis tarah tir-e-mizhgan jigar par hamare utare hue hain jhade jo teri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par wo ja kar sayyare hue hain abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utare hue hain kis andaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai bala ho koi aaj nazil wo baalon ko apne sanware hue hain khabar-dar hathon se jaane na paen ye duzd-e-hina mal mare hue hain kahe deti hain saf aankhen tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein dubta hun ilahi wo dil le ke mera kinare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti ka wahi dushman-e-jaan hamare hue hain nazar kar dua par khudawand-e-alam ki hum hath apne pasare hue hain bhala ghair ki is mein hai kya shikayat wahi dushman-e-jaan hamare hue hain unhen hum ne nahla diya de ke chhinten ajab lutf dariya kinare hue hain khabar aamad-e-gul ki shayad hai 'agha' chaman sare jhade bahaare hue hain