barsar-e-taaruf the ehtiyat ke sae

barsar-e-ta'aruf the ehtiyat ke sae
wo bhi kuchh na kah pae hum bhi kuchh na kah pae

din hasin bahaaron ke yun bhi hum ko yaad aae
qahqahon ke afsane aansuon ne dohrae

kitne hi bhayanak hon un se khauf kya khana
sae hain bahar-surat raushni ke hamsae

did ke tamashe bhi kam nahin sarabon se
dur hum hue utne jitne wo qarib aae

kis jagah hua hai gum kuchh pata nahin chalta
hum zamir-e-insan ko har taraf pukar aae

raushni mili lekin ye bhi aap ne dekha
dhup ki tamazat se kitne phul kumhlae

chhin le koi 'kaifi' mujh se meri tanhai
sanp ban ke daste hain mujh ko ab mere sae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close