kya moD ajab aaya ye rishton ke safar mein

kya mod 'ajab aaya ye rishton ke safar mein
main khud se juda ho gaya is rahguzar mein

main ne hi ubhaare hain khutut us ke badan ke
ek nuqta-e-mauhum hun main jis ki nazar mein

baitha pas-e-diwar main ye soch raha hun
kab rauzan-e-diwar badal jata hai dar mein

gum kasrat-e-afrad mein ho jate hain chehre
insan ki pahchan ho kis tarh nagar mein

aai na sahaare ko ek aawaz-e-shanasa
main dub gaya apni sadaon ke bhanwar mein

masrur hun yun tark-e-jahan kar ke main 'kaifi'
duniya hi simat aai hai goya mere ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close