barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye khil gai manind-e-gul sau ja se diwar-e-chaman ulfat-e-gul se ghalat hai dawa-e-warastagi sarw hai ba-wasf-e-azadi giraftar-e-chaman saf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzar-e-chaman jaanashin-e-jauhar-e-aina hai khar-e-chaman hai nazakat bas ki fasl-e-gul mein meamar-e-chaman qalib-e-gul mein dhali hai khisht-e-diwar-e-chaman teri aaraish ka istiqbaal karti hai bahaar jauhar-e-aina hai yan naqsh-e-ehzar-e-chaman bas ki pai yar ki rangin-adai se shikast hai kulah-e-naz-e-gul bar taq-e-diwar-e-chaman waqt hai gar bulbul-e-miskin zulekhai kare yusuf-e-gul jalwa-farma hai ba-bazar-e-chaman wahshat-afza girya-ha mauquf-e-fasl-e-gul 'asad' chashm-e-dariya-rez hai mizab-e-sarkar-e-chaman