wida-e-yar ka lamha thahar gaya mujh mein main khud to zinda raha waqt mar gaya mujh mein sukut-e-sham mein chikhen sunai deti hain tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein wo pahle sirf meri aankh mein samaya tha phir ek roz ragon tak utar gaya mujh mein kuchh aise dhyan mein chehra tera tulua hua ghurub-e-sham ka manzar nikhar gaya mujh mein main us ki zat se munkir tha aur phir ek din wo apne hone ka elan kar gaya mujh mein khandar samajh ke meri sair karne aaya tha gaya to mausam-e-gham phul dhar gaya mujh mein gali mein gunji khamoshi ki chikh raat ke waqt tumhaari yaad ka bachcha sa dar gaya mujh mein bata main kya karun dil nam ke is aangan ka teri umid pe jo saj-sanwar gaya mujh mein ye apne apne muqaddar ki baat hai 'faris' main is mein simta raha wo bikhar gaya mujh mein