barson ashkon se wuzu ka silsila karte rahe hum namaz-e-zindagi yun bhi ada karte rahe hum barabar dosti ka haq ada karte rahe aur wo rozana ek fitna khada karte rahe hum bayan ro ro ke dil ka muddaa karte rahe ahl-e-mahfil muskura kar wah-wa karte rahe kya bataen zindagani ishq ki kaise kati wo jafa karte rahe aur hum wafa karte rahe umr-bhar ahl-e-watan ne baat tak mujh se na ki log meri qabr par phir jamghata karte rahe chand ke manind mukhde ki ziya-pashi ke gird apni zulf-e-ambarin se wo ghata karte rahe ek nazar tu ne na dekha bismilan-e-zar ko log tera zikr-e-chashm-e-surma-sa karte rahe wo jinhen aai mayassar ibtida-e-mal-o-zar hum pe har lahza sitam ki intiha karte rahe ahl-e-danish dekhen un ki sadgi bechaargi jo wasilon ke bharose par khata karte rahe rahrawo ruk jao socho is paheli ka jawab rahnumaon ke nishane kyun khata karte rahe kya sunaen jaan-ba-lab qaumon ki bimari ka haal dard badhta hi gaya jun jun dawa karte rahe ho na paya jaan-ba-lab lakhon gharibon ka ilaj ahl-e-sarwat tanduruston ki dawa karte rahe ho gae koshish mein apni kaam wale kaamyab aur nakara muqaddar ka gila karte rahe main to bahr-e-gham ke tufanon se takraata raha log kuchh sahil pe baithe tabsira karte rahe man tura haji bagoyam tu mora haji bago shairan-e-pesha-war ye mashghala karte rahe shar-pasandon ki riayat mein faqihan-e-kiram zisht ko khub aur rawa ko narawa karte rahe sarguzisht apni to sari ye hai ai rabb-e-rahim darguzar karta raha tu hum khata karte rahe raat chashm-e-'raaz' pahron ashk barsati rahi khel ke shauqin rona kirkira karte rahe