barson gham-e-gesu mein giraftar to rakkha ab kahte ho kya tum ne mujhe mar to rakkha kuchh be-adabi aur shab-e-wasl nahin ki han yar ke rukhsar pe rukhsar to rakkha itna bhi ghanimat hai teri taraf se zalim khidki na rakhi rauzan-e-diwar to rakkha wo zabh kare ya na kare gham nahin is ka sar hum ne tah-e-khanjar-e-khun-khwar to rakkha is ishq ki himmat ke main sadqe hun ki 'begam' har waqt mujhe marne pe tayyar to rakkha