josh-e-takmil-e-tamanna hai khuda khair kare khak hone ka andesha hai khuda khair kare jaan-nisaron ko natije ka tasawwur hi kahan aaina sang pe marta hai khuda khair kare sab ne rasmi hi hansi lab pe saja rakkhi hai har koi dard mein duba hai khuda khair kare pyas pani ke tajassus mein bhatakti hai jahan dur tak ret ka dariya hai khuda khair kare ek taraf waqt ke munh-zor bagulon ka hujum ek taraf zard sa patta hai khuda khair kare tu ne ghar yun to bulandi pe banaya hai 'figar' tu magar nind mein chalta hai khuda khair kare