barson teri talab mein safina rawan raha ai mere mehrban bhanwar tu kahan raha un se mili nazar to palat kar na aa saki wo rishta-e-nigah bhi kab darmiyan raha kab umr-e-khizr khanda-e-gul ka jawab hai yan do ghadi mein umr-e-abad ka saman raha main bhi tere baghair na aaram pa saka tu bhi meri talash mein be-khanaman raha mujh ko gila hai tab-e-murawwat-shiar se saghar-ba-dast ho ke bhi tishna wahan raha ai daur-e-charkh ab koi tadbir aur kar teri sitamgari pe to main shadman raha mujh ko 'jalil' kaun kahega shikasta-dil khaya tha ek zakhm so wo be-nishan raha