dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare is khak-e-rah ko bhi koi kimiya kare hire ki kan dekh ke aata hai ye khayal kash is zamin se dana-e-gandum uga kare tute kisi tarah to dhuen ka siyah tilism har sham is dayar mein aandhi chala kare dhime dukhon ki rakh badan par mili to hai wo dal de nazar to mujhe aaina kare khushbu mere ghamon ki bikhar jae dur dur yun chup rahun ki ek zamana suna kare bujhne lagi hai sham ke aangan mein raushni ab mauj-e-khun-e-dil hi koi moajiza kare