bas aaftab ki tanwir jaisa lagta hai kitabi chehra hai taswir jaisa lagta hai koi bhi dekhe to mabhut ho ke rah jae wo rukh to husn ki tafsir jaisa lagta hai kisi bhi kaam ka wo mujh ko chhodta hi nahin khayal bhi tera zanjir jaisa lagta hai lakir lambi si kajal ki jis mein hoti hai wo gosha aankh ka shamshir jaisa lagta hai tumhaare kuche ke malum hain nasheb-o-faraaz mujhe wo apni hi jagir jaisa lagta hai ajab kashish hai tere shahr mein mujhe jaanan koi bhi rut ho wo kashmir jaisa lagta hai wo chehra aisa hai aankhen thahar hi jati hain ki ek hasin si tahrir jaisa lagta hai shab-e-firaq shab-e-wasl mein badal jaana wo mere khwab ki tabir jaisa lagta hai nigah uthte hi didar tera ho jaana meri duaon ki tasir jaisa lagta hai tera khayal hi marham hai sare zakhmon ka koi bhi zakhm ho iksir jaisa lagta hai koi nishan hai na manzil ka hai pata 'anwar' ye rasta bhi to taqdir jaisa lagta hai