bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai mujhe jo pahuncha hai dukh doston se pahuncha hai mere wajud se hairat mein hai mufassir-e-aql wo raaz hun jo na mastur hai na ifsha hai mujhe hayat se hai is liye bhi dilchaspi ye ek din ka nahin umr-bhar ka sauda hai wo tere lutf-e-tabassum ki naghmagi ai dost ki jaise qaus-e-quzah par sitar bajta hai ye zindagani ibarat khalish se hai yani khalish jo hai to chaman hai nahin to sahra hai hain teri ishwa-gari ke ye mukhtalif pahlu kalisa kya hai haram kya hai but-kada kya hai 'nazir' qissa-e-zakhm-e-nihan kahun kis se ye dastan-e-alam sakht ruh-farsa hai