agar wo hadisa phir se hua to main tere ishq mein phir pad gaya to ki us ka ruthna bhi lazmi hai mana lunga agar hoga khafa to meri uljhan sulajhti ja rahi hai dikhaya hai tumhi ne rasta to yaqinan raaz-e-dil main khol dunga diya apna jo us ne wasta to chalo kuchh der ro len sath mil kar koi lamha khushi ka mil gaya to tujhe mahfuz kar lun zehn-o-dil mein mila hai tu kahin phir kho gaya to naya rishta nibhane ki talab mein agar tuta purana rabta to kaleje se laga kar rakhte hum bhi hamein wo raaz apne saunpta to 'nazar' tum zindagi samjhe ho jis ko faqat pani ka ho wo bulbula to