bas dikha de rah-e-mai-khana koi le chale ya su-e-virana koi kya mila farzanon mein rah kar mujhe un se to behtar hai diwana koi rahguzar-e-shauq ka hai ye karam ho gaya apna hi begana koi aaj ke haalat par likhun to kya gar likhun samjhoge afsana koi main hun aur tanhaiyon ka dasht hai dard ko mere nahin jaana koi main ne bhi sikha hai duniya se bahut sikhe mujh se bhi to gham khana koi kahte hain sahil se aksar mehrban hai ghazal ya harf-e-rindana koi