agarche shakl-o-shabahat se kam nahin darwesh jinhen tu dhund raha hai wo hum nahin darwesh bas ek nazar ki ijazat hai aur chalta ban samajh zara ki musalsal bhi ram nahin darwesh ghira hua hai mukammal hawa ke narghe mein magar charagh ki gardan mein kham nahin darwesh wo ek shakhs hamara nahin hua ab tak siwae is ke to koi bhi gham nahin darwesh kanar-e-chashm-e-tamanna jo aa ruke 'asim' hudud-e-ashk mein itna bhi nam nahin darwesh