bas ek baat yahi sochta hun dilli mein kyon ganw chhod ke main aa basa hun dilli mein pata karo ki kahan par bhatak raha hai wo use kaho main use dhundhta hun dilli mein har ek shakhs yahan ajnabi sa lagta hai ki bhid mein bhi main tanha khada hun dilli mein tumhaare sath ki wo sair yaad aati hai main tanha jab bhi kabhi ghumta hun dilli mein jo puchhte ho mera kaam to suno tum bhi main dard-o-gham ki dawa bechta hun dilli mein yahan ki aab-o-hawa mein mujhi ko paoge main har taraf yahan bikhra pada hun dilli mein