koi rasta batane wala nahin tum nahin koi aane wala nahin wo jo tujh se zara bhi bair rakhe main use munh lagane wala nahin ruthna hai to ye samajh lena main to tujh ko manane wala nahin jis ko teri nazar ne tham liya is ko koi girane wala nahin main to tute huon ko jodta hun nur mein dil dikhane wala nahin