bas ek bar uthen samna hi kar dalen wabaal-e-jaan hai dar khatma hi kar dalen qubuliyat ko suna hai ki zid dua se hai to kyun na aisa karen bad-dua hi kar dalen khisakte lamhon se ye zindagi ne puchh liya haqir hum hain ki tum faisla hi kar dalen nishat-o-kaif ke saman an-qarib kahan ab ikhtisar-e-saf-e-maddua hi kar dalen irada kar jo liya tark-e-khud-kalami ka to yaad-e-mazi ka gham maktiba hi kar dalen 'asar' zaban ko dushwariyan bhi hain lahiq so ehtimam koi dusra hi kar dalen