tere baghair masafat ka gham kahan kam hai magar ye dukh ki meri umr-e-raegan kam hai meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar meri zamin pe tera ye aasman kam hai tujhe khabar bhi kahan hai mere iradon ki tu meri sochti aankhon ka raaz-dan kam hai isi se ho gae manus tairan-e-chaman wo jo ki bagh ka dushman hai baghban kam hai agarche shahr mein phaili kahaniyan hain bahut koi bhi sunne-sunane ko dastan kam hai nigah o dil pe khuli hain haqiqaten kaisi ye dil udas ziyaada hai shadman kam hai ab is se badh ke bhi koi hai pul-siraat abhi main ji raha hun yahan jaise imtihan kam hai