bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai

bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai
har lamha meri umr ka zanjir-ba-pa hai

main shahr ko kahta hon bayaban ki yahan bhi
saya teri diwar ka kab sar pe pada hai

hai waqt ki kahta hai rukunga na main ek pal
tu hai ki abhi baat meri tol raha hai

main bazm se khakistar-e-dil le ke chala hun
aur samne tanhai ke sahra ki hawa hai

aawaz ka tesha hai na khamosh takallum
tala jo zaban par tha wo ab dil pe pada hai

main sath liye phirta hun saman-e-halakat
rag rag mein meri zahr-e-wafa daud raha hai

kya kya hain tamannaen dil-e-khak-basar mein
ye qafila virane mein kyun thahra hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close