bas ek jism ek hi qad mein pada rahun behad hun main to kyun kisi had mein pada rahun subh-e-azal hai kab se mere intizar mein ji chahta hai taq-e-abad mein pada rahun ek roz tang aa ke mujhe sochna pada kab tak main apni sohbat-e-bad mein pada rahun aage nikalta jata hun main apne-ap se ab dar-guzar karun ki hasad mein pada rahun be-sud ho gaya hun to hasil kahan gaya ai asal zar main kaun si mad mein pada rahun