bujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye kuchh der ke liye mujhe tanhai chahiye kuchh gham kashid karne hain apne wajud se ja gham ke sathiye mujhe tanhai chahiye ukta gaya hun khud se agar main to kya hua ye bhi to dekhiye mujhe tanhai chahiye ek roz khud se milna hai apne khumar mein ek sham bin piye mujhe tanhai chahiye takrar is mein kya hai agar kah raha hun main tanhai chahiye mujhe tanhai chahiye duniya se kuchh nahin hai sarokar ab mujhe be-shak mere liye mujhe tanhai chahiye