bas ek Khaali sa paikar dikhai deta hai

bas ek khali sa paikar dikhai deta hai
ye kaun khwab mein aksar dikhai deta hai

bas us ke hone ka ehsas hi nahin hota
kabhi kabhi wo barabar dikhai deta hai

main jis se milta hun ek bar dekhne ke liye
bichhadta hain to mukarrar dikhai deta hai

chalo ki us pe bhi chadhne laga hai hijr ka rang
wo ab ke pahle se behtar dikhai deta hai

bichhad ke jata kahan hai wo aankh khulte hi
jo mujh ko khwab mein shab bhar dikhai deta hai

ye log kaise bhi is dasht ke nahin lagte
sabhi ki aankhon mein ek ghar dikhai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close