phir se wo laut kar nahin aaya phir dua mein asar nahin aaya chain aaega kaise aaj ki shab tare nikle, qamar nahin aaya likhte dekha tha khwab mein un ko ab talak nama-bar nahin aaya mere marne pe aaya sara jahan jo tha ek ba-khabar nahin aaya chal basi man liye khuli aankhen us ka, nur-e-nazar nahin aaya yun to patthar bahut se dekhe hain koi tum sa nazar nahin aaya sham dhalne lagi hai ab 'mufti' subh ka bhula ghar nahin aaya