bas ek khata ki musalsal saza abhi tak hai mere khilaf mera aaina abhi tak hai sabhi charagh andheron se mil gae lekin harif-e-mauj-e-hawa ek diya abhi tak hai mita sake na use hadson ke dariya bhi wo ek nam jo dil par likha abhi tak hai giri hai meri jo dastar gham hua lekin ye shukr karta hun band-e-qaba abhi tak hai nazar utha ke kaha mai-kade mein saqi ne wo kaun hai jo yahan parsa abhi tak hai na jaane kaun se sadmon ka shor tha is mein guzar chuka wo idhar se sada abhi tak hai