bas ek mah-e-junun-khez ki ziya ke siwa nagar mein kuchh nahin baqi raha hawa ke siwa hai ek aur bhi surat kahin meri hi tarah ek aur shahr bhi hai qarya-e-sada ke siwa ek aur samt bhi hai us se ja ke milne ki nishan aur bhi hai ek nishan-e-pa ke siwa zawal-e-asr hai kufe mein aur gadagar hain khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siwa makan-e-zar lab-e-goya had-e-sipahr-o-zamin dikhai deta hai sab kuchh yahan khuda ke siwa meri hi khwahishen bais hain mere gham ki 'munir' azab mujh pe nahin harf-e-muddaa ke siwa