marhala dil ka na taskhir hua tu kahan aa ke inan-gir hua kaam duniya ka hai tir-andazi hum hue ya koi nakhchir hua sang-e-buniyaadi hain hum us ghar ka jo kisi tarah na tamir hua safar-e-shauq ka hasil malum rasta panw ki zanjir hua umr-bhar jis ki shikayat ki hai dil usi aag se iksir hua kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar kab tabassum hua kab tir hua kaun ab dad-e-sukhan de 'baqi' jis ne do sher kahe 'mir' hua