bas ek sans liya khul ke laKHt-laKHt hua

bas ek sans liya khul ke lakht-lakht hua
ki zindagi na hui kanch ka darakht hua

bahut zahin bhi hona wabaal-e-jaan hai yahan
hamare sath har ek imtihan sakht hua

jahan pe mujh ko halimi se kaam lena tha
usi maqam pe lahja mera karakht hua

na main kisi ke liye zad-e-wasl ban paya
na hijraton mein mera koi saz-e-rakht hua

'talab' hawaon ke sine pe sanp lot gaya
phir ek nanha sa pauda ghana darakht hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close