bas ek titli udana chahta hun fazaon mein thikana chahta hun teri aankhon mein aansu hain to honge tujhe main kya hansana chahta hun agar bazar hai duniya to is se main rishta tajirana chahta hun main apni aankh ki khali jagah mein nai basti basana chahta hun ye kaisi raushni ki aarzu hai main kis ka ghar jalana chahta hun safar ka silsila yunhi nahin hai koi behtar thikana chahta hun jale hi ja raha hai kab se 'adil' charagh-e-dil bujhana chahta hun