khamosh jhil mein koi kankar gira nahin lahron ka zindagi mein meri silsila nahin baadal ki tarah aankhen barasti rahin magar shadab phir bhi barg-e-mohabbat hua nahin makdi ne us ki aankhon pe jale laga diye muddat se intizar ka uqda khula nahin raushan hui hayat kisi ke khayal se yun to charagh ghar mein hamare jala nahin mazi bhi mahw-e-khwab hua kab ka dosto mustaqbil-e-qarib ka bhi dar khula nahin ye mausam-e-umid bhi kab ka guzar gaya 'adil' shajar pe aas ka ek phal laga nahin