bas isi fikr mein guzri sahar-o-sham tamam

bas isi fikr mein guzri sahar-o-sham tamam
ho na jae dil-e-na-kaam tera kaam tamam

lab pe aate hi badal jate hain phir rang-o-ras
apsara hur kali phul tere nam tamam

zakhm betab hain phir aaj hare hone ko
mere paimane mein hai gardish-e-ayyam tamam

mujh ko dar hai ki kahin maghribi but-khane mein
jhuk na jae nigah-e-alam-e-islam tamam

tu ne kis kis ko ye diwana bana rakkha hai
tere kuche mein dikhe shahr ke badnam tamam

ek tere nam ko palkon pe bithane ke sabab
meri nazron se gire hain tere hamnam tamam

dekh tufan-e-gul-afshan ki faza dekh 'zuhaib'
jis ki aamad se khule hain lab-e-gulfam tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close