aur kya hota bhala dard ki tashhir ke baad

aur kya hota bhala dard ki tashhir ke baad
hath dhone hi pade jaan se tauqir ke baad

kitna viran hai dil mera zara dekh to le
dil mein rakkha hi nahin kuchh teri taswir ke baad

sher kahte to rahe yar bahut log magar
koi shair na hua mir taqi 'mir' ke baad

raqs karne se mujhe rok na paoge kabhi
aur pahnaoge kya tum mujhe zanjir ke ba'd

us ka andaz-e-sitam puchh na mujh se ai tabib
us ne khanjar se bhi mara mujhe shamshir ke baad

haisiyat aur ghamon ki faqat itni hai 'zuhaib'
chhota lagne laga har gham gham-e-shabbir ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close