bas isi had tak jahan-e-rang-o-bu achchha laga

bas isi had tak jahan-e-rang-o-bu achchha laga
ek jawan-e-sarw-qad ek khub-ru achchha laga

zahidon ki ruh mein jab jhank kar dekha to phir
khirqa-o-sajjada se apna subu achchha laga

guftugu mein sard-mehri aankh mein lutf-o-karam
us ka ye andaz mere ru-ba-ru achchha laga

jab nazar dali kitab-e-zindagi par ghaur se
is mein bas ek lamha-e-tegh-o-gulu achchha laga

apni fitrat mein hai darweshi so hum ko mai-kasho
saghar-e-jamshed se apna kadu achchha laga

kya kare apni tabiat ki koi uftad ko
dosto wo dushman-e-jaan wo adu achchha laga

jaan-nisaron ki kami koi na thi 'jabir' yahan
tegh-e-qatil ko magar mera lahu achchha laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close