gham-e-dauran ka mudawa gham-e-jaanan bhi nahin

gham-e-dauran ka mudawa gham-e-jaanan bhi nahin
zist dushwar nahin hai to kuchh aasan bhi nahin

arsa-e-dahr se hum ahl-e-junun ko nisbat
is ki wusat ba-had-e-alam-e-imkan bhi nahin

har-nafas ek khalish si hai rag-e-jaan ke qarib
aur nashtar koi paiwast-e-rag-e-jaan bhi nahin

dekhiye waqt ne kis kis ke udae purze
un ka daman bhi nahin mera gareban bhi nahin

ek hi mard-e-haq-agah hai banda ya-rab
ki ye kafir jo nahin hai to musalman bhi nahin

manzil-e-gham se guzarna hai aur is par 'jabir'
dasht-e-wahshat mein kisi shokh ka daman bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close