bas KHak-e-qadam dijiye takrar bahut ki

bas khak-e-qadam dijiye takrar bahut ki
mitti meri is khak ne hi khwar bahut ki

chaid mujh ko tujhe rijh ke takrar bahut ki
khush rah ki khushamad teri ai yar bahut ki

hargiz na gai pesh na aaya mah-e-be-mehr
har chand ki zari pas-e-diwar bahut ki

lai kashish-e-dil hi tumhein tum ne to warna
yahan aane mein ek umr talak aar bahut ki

us chashm ne dekha dil-e-bimar ko mere
bimar ne kal khatir-e-bimar bahut ki

abru ki tasawwur mein hua qatl mera dil
phal kyun na mile mard tha talwar bahut ki

ushshaq mein main hi hadaf-e-tir hun us ka
azmat hi yahi khidmat-e-sarkar bahut ki

is tarah ka be-did to gham hoga jahan mein
ki hum ne bhi hai did trahdar bahut ki

surat teri aage hi bhabuka thi wa-lekin
zulfon ke bikharne ne dhuandhaar bahut ki

yahan aath pahar jins se wafa hum ne dikhai
dekha na kharidar to na-chaar bahut ki

yarab na rahe nam judai ki rah-e-ishq
aasan thi par us ne hi dushwar bahut ki

malum koi din ko tujhe hogi haqiqat
kam us tere iqrar ki inkar bahut ki

har chand ki khat se bhi dhuan-shakl hai ai mah
par khat ki na rakhne ne numudar bahut ki

ghar mein na tere kud saka raat-gae main
han apni si tadbir to ai yar bahut ki

bahbud ke aasar na dekhe kabhu hargiz
jis shakhs ne unchi teri diwar bahut ki

kam hum sa kharidar baham pahunchega us ko
kyun ishq ne jins-e-gham-e-bisyar bahut ki

bola sar-e-mansur sar-e-dar pe 'ehsa۔n'
haq hai ki saza-war the pindar bahut ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close