gham-e-behad mein kis ko zabt ka maqdur hota hai chhalak jata hai paimana agar bharpur hota hai kabhi aisa bhi hota hai ki dil ranjur hota hai magar insan hansne ke liye majbur hota hai faza-e-zindagi ki zulmaton ke marsiya-khwano andheron hi ke dam se imtiyaz-e-nur hota hai nahin ye marhala ai dost har bismil ki qismat mein bahut mushkil se koi zakhm-e-dil nasur hota hai ye sai-e-zabt-e-gham aankhon mein aansu rokne wale safinon mein kahin tufan bhi mastur hota hai