bas ki chun badr-zamana ye ghatata hai mujhe din-ba-din aur hi aalam nazar aata hai mujhe husn nairangi-e-alam ka ajab rang se kuchh ain nairangi mein sau rang dikhata hai mujhe itna malum to hota hai ki jata hun kahin koi hai mujh mein ki mujh se liye jata hai mujhe yaad main kis ki karun mujh ko kahan hosh-o-hawas apni hi yaad se ye ishq bhulata hai mujhe turfa aalam hai ki har ek se wo maya-naz aap rahta hai alag aur bhidata hai mujhe chhod kar mujh ko wo tanha koi jata hai kahin ye bhi ek chhed hai us ko ki kudhata hai mujhe mujh ko kyun khinche liye jae hai taqsir meri umr tuk rah to sahi kaun bulata hai mujhe mujh mein aur dil mein sada hai sabaq-e-ishq ka dars main sunata hun use aur wo sunata hai mujhe mere nakhunon mein main tujh se kiye chaar abru apni kya tegh se har dam tu daraata hai mujhe tair-e-rang-e-hina hun to lagun tere hath chutkiyon mein tu abas yar udata hai mujhe tujh ko manzur jafa mujh ko hai matlub wafa na ye bhata hai tujhe aur na wo bhata hai mujhe jo meri chidh hai usi baat ka hai tujh ko zauq aah tu dida-o-danista khujata hai mujhe phir phir aaine mein munh dekhne lagta hai 'hasan' ek dam aap mein wo shokh jo pata hai mujhe