tera suluk mujh se hai aghyar ki tarah aankhon mein jo khatakta hun main khar ki tarah mubham har ek baat sanam ki lage mujhe iqrar bhi lage mujhe inkar ki tarah shatranj jaisi mujh ko lage hai ye zindagi chalna har ek chaal samajhdar ki tarah shair samajh ke tujh ko bulaya tha bazm mein ghazlon ko yun na ga tu gulu-kar ki tarah hosh-o-hawas gum hain jo us ke firaq mein khud ko samajh raha hun main bimar ki tarah sail tumhaare dar pe jo aae kabhi zaki us ko nawaziye kisi dildar ki tarah qabu mein rakh zaban ko apni sada 'zaki' rishton ko katti hai ye talwar ki tarah